kabhī rāj-e-mohabbat chhūp nahīṅ saktā chhupāne se
ye vo tūphān hai jo aur ubhregā dabāne se
mere sarkār, jis uljhan ko lekar āye ho dil meṅ
vo uljhan jān lī ham ne, tumhāre sar jhukāne se
dil kī kahānī raṅg lāī hai
allā duhāī hai, allā duhāī hai
sāṇse haiṅ halkī halkī, āṇkhe haiṅ chhalkī chhalkī
āj to jāṇ pe ban āī hai
kisī ko bhī mohabbat ke nā phaṅde meṅ khudā ḍāle
ye jab chāhe banā ḍāle, ye jab chāhe miṭā ḍāle
koī iskā bharosā hai, nā kuchh iskā ṭhikānā hai
kisī ko jiṅdgī de de, kisī kā ghar jalā ḍāle
kyoṅkī vallā ye baṛī harjāī hai
hameśhā jindgī khelte haiṅ iśhk ke māre
ye apnī apnī kismat hai, koī jīte koī hāre
are tobā, ye dastūr-e-mohabbat bhī kayāmat hai
raho khāmośh to dil ko jalāye gam ke aṅgāre
aur āheṅ bhare to rusvāī hai