Charandaas ko peene kee jo aadat na hotee

चरनदास को पीने की जो आदत न होती
Year
Language

चरनदास को पीने की जो आदत न होती
तो आज मियाँ बाहर बीवी अन्दर न सोती

बोतल से प्यार किया बुरा मेरे यार किया
घर-घर में झगड़ा दिन-रात का ये रगड़ा
बोतल के चस्के ने हाय मुझे मार दिया
बोतल से यारों जो उल्फ़त न होती
तो आज मियाँ बाहर …

मुँह से लगे फिर ज़ालिम न छूटे
शाम पड़े ही बदन सारा टूटे
नज़रों में घूमें दुकान शराब की
नाक में आए ख़ुश्बू कबाब की
इस पर मज़ा कि खाली हो पाकिट
नज़रों में घूमें फिर बीवी का लाकिट
मिट्टी के भाव जा के बेच आए मोती
तो आज मियाँ बाहर …

जेवर से कपड़ा कपड़े से बर्तन
बोतल के पानी में डूब गया सारा धन
दिया ना साल भर किराया मकान का
चढ़ गया सिर पर कर्जा पठान का
देखो जी हौले-हौले अपना ये हाल हुआ
बेटा अमीर का ठन-ठन-गोपाल हुआ
बिक गए सूट-बूट रह गई घोती
तो आज मियाँ बाहर …

charandās ko pīne kī jo ādat na hotī
to āj miyāṇ bāhar bīvī andar na sotī

botal se pyār kiyā burā mere yār kiyā
ghar-ghar meṅ jhagaṛā din-rāt kā ye ragaṛā
botal ke chaske ne hāy mujhe mār diyā
botal se yāroṅ jo ulfat na hotī
to āj miyāṇ bāhar …

muṇh se lage phir zālim na chhūṭe
śhām paṛe hī badan sārā ṭūṭe
nazroṅ meṅ ghūmeṅ dukān śharāb kī
nāk meṅ āe khuśhbū kabāb kī
is par mazā ki khālī ho pākiṭ
nazroṅ meṅ ghūmeṅ phir bīvī kā lākiṭ
miṭṭī ke bhāv jā ke bech āe motī
to āj miyāṇ bāhar …

jevar se kapaṛā kapaṛe se bartan
botal ke pānī meṅ ḍūb gayā sārā dhan
diyā nā sāl bhar kirāyā makān kā
chaṛh gayā sir par karjā paṭhān kā
dekho jī haule-haule apnā ye hāl huā
beṭā amīr kā ṭhan-ṭhan-gopāl huā
bik gae sūṭ-būṭ rah gaī ghotī
to āj miyāṇ bāhar …