Chandaa taare sun len saare teree yaadon men

चंदा तारे सुन लें सारे तेरी यादों में
Work
Year
Language

चंदा तारे सुन लें सारे तेरी यादों में हम सोए जागे
सोए जागे
सारा आलम क्‌या है जानम तेरे प्यार के आगे
आहा आहा
हो चंदा तारे सुन लें सारे …

हम तुम इतना प्यार करेंगे जो भी सुनेगा वो ये कहेगा
कौन रहा है कौन रहेगा प्यार रहा है प्यार रहेगा
चंदा तारे सुन लें सारे …

मेरे दिल की तेरे दिल की बात कोई भी रह ना जाए
वक़्त का दरिया छोड़ के साहिल हमसे आगे बह ना जाए
चंदा तारे सुन लें सारे …

chaṅdā tāre sun leṅ sāre terī yādoṅ meṅ ham soe jāge
soe jāge
sārā ālam k‌yā hai jānam tere pyār ke āge
āhā āhā
ho chaṅdā tāre sun leṅ sāre …

ham tum itnā pyār kareṅge jo bhī sunegā vo ye kahegā
kaun rahā hai kaun rahegā pyār rahā hai pyār rahegā
chaṅdā tāre sun leṅ sāre …

mere dil kī tere dil kī bāt koī bhī rah nā jāe
vaqt kā dariyā chhoṛ ke sāhil hamse āge bah nā jāe
chaṅdā tāre sun leṅ sāre …