Chandaa ko dhoondhne sabhee taare nikal pare

चंदा को ढूँढने सभी तारे निकल पड़े
Year
Language

रफ़ी: बच्चों…
एक समय की बात सुनो, अंधियारी थी रात सुनो
दीपक चोरी हो गया, चाँद कहीं पर खो गया
बच्चा: फिर क्‌या हुआ?
रफ़ी: चंदा को ढूँढने सभी तारे निकल पड़े -2
गलियों में वो नसीब के मारे निकल पड़े
चंदा को …
आशा: चंदा को ढूँढने सभी तारे निकल पड़े -2
गलियों में वो नसीब के मारे निकल पड़े
चंदा को …

उनकी नज़र का जिस ने नज़ारा चुरा लिया
उनके दिलों का जिस ने सहारा चुरा लिया
उस चोर की तलाश में सारे निकल पड़े
चंदा को …

ग़म की अंधेरी रात में जलना पड़ा उन्हें
फूलों के बदले काँटों पे चलना पड़ा उन्हें
धरती पे जब गगन के दुलारे निकल पड़े
चंदा को …

उनकी पुकार सुन के यह दिल डगमगा गया
हम को भी कोई बिछड़ा हुआ याद आ गया
भर आई आँख हमारे निकल पड़े
चंदा को …

rafī: bachchoṅ…
ek samay kī bāt suno, aṅdhiyārī thī rāt suno
dīpak chorī ho gayā, chāṇd kahīṅ par kho gayā
bachchā: phir k‌yā huā?
rafī: chaṅdā ko ḍhūṇḍhne sabhī tāre nikal paṛe -2
galiyoṅ meṅ vo nasīb ke māre nikal paṛe
chaṅdā ko …
āśhā: chaṅdā ko ḍhūṇḍhne sabhī tāre nikal paṛe -2
galiyoṅ meṅ vo nasīb ke māre nikal paṛe
chaṅdā ko …

unkī nazar kā jis ne nazārā churā liyā
unke diloṅ kā jis ne sahārā churā liyā
us chor kī talāśh meṅ sāre nikal paṛe
chaṅdā ko …

ġham kī aṅdherī rāt meṅ jalnā paṛā unheṅ
phūloṅ ke badle kāṇṭoṅ pe chalnā paṛā unheṅ
dhartī pe jab gagan ke dulāre nikal paṛe
chaṅdā ko …

unkī pukār sun ke yah dil ḍagamgā gayā
ham ko bhī koī bichhaṛā huā yād ā gayā
bhar āī āṇkh hamāre nikal paṛe
chaṅdā ko …