Chandaa dekhe chandaa, to vo chandaa sharmaae

चंदा देखे चंदा, तो वो चंदा शरमाए
Work
Year
Language

कि: चंदा देखे चंदा, तो वो चंदा शर्माए
गोरी गोरी चांदनी में, गोरी जब मुस्काए
ल: जिया बोले पिया, तो ये जिया शर्माए
गोरी गोरी चांदनी में, गोरी जब मुस्काए

कि: चाँद से माथे पे बिंदिया झिलमिलाए ऐसे
चाँद सूरज रात में एक साथ चमके ऐसे
जी करे ये उमर यूहीं देखते कट जाए
ल: जिया बोले पिया…

नैन बन जाती है घूँघट मन दुल्हन की आशा
बांचते हैं जब नयन तेरे नयन की भाषा
नैन में छुप कर मेरे मुझको तू मुझसे चुराए
कि: चंदा देखे चंदा…

प्रीत के रंग में रंगा है तेरा उड़ता आंचल
ल: मैने बांधा है इसी में एक दीवाना पागल
कि: आंचल की छाया में ये पागल जिये मर जाए
ल: जिया बोले पिया…

ki: chaṅdā dekhe chaṅdā, to vo chaṅdā śharmāe
gorī gorī chāṅdnī meṅ, gorī jab muskāe
la: jiyā bole piyā, to ye jiyā śharmāe
gorī gorī chāṅdnī meṅ, gorī jab muskāe

ki: chāṇd se māthe pe biṅdiyā jhilmilāe aise
chāṇd sūraj rāt meṅ ek sāth chamke aise
jī kare ye umar yūhīṅ dekhte kaṭ jāe
la: jiyā bole piyā…

nain ban jātī hai ghūṇghaṭ man dulhan kī āśhā
bāṅchte haiṅ jab nayan tere nayan kī bhāṣhā
nain meṅ chhup kar mere mujhko tū mujhse churāe
ki: chaṅdā dekhe chaṅdā…

prīt ke raṅg meṅ raṅgā hai terā uṛtā āṅchal
la: maine bāṅdhā hai isī meṅ ek dīvānā pāgal
ki: āṅchal kī chhāyā meṅ ye pāgal jiye mar jāe
la: jiyā bole piyā…