bāġh meṅ kalī khilī bagiyā mahkī par hāy re
abhī idhar bhṇvrā nahīṅ āyā
rāh meṅ nazar bichī bahkī-bahkī aur bevjah
ghaṛī ghaṛī ye dil ghabrāyā hāy re
kyoṅ na āyā, kyoṅ na āyā, kyoṅ na āyā
baiṭhe haiṅ ham to armāṇ jagāye
sīne meṅ lākhoṅ tūfāṇ chhupāye
mat pūchh man ko kaise manāyā
bāġh meṅ …
sapne jo āye taṛpāke jāye
dil kī lagī ko dahkāke jāye
muśhkil se ham ne har din bitāyā
bāġh meṅ …
ik mīṭhī agnī meṅ jaltā hai tan-man
bāt aur bigaṛī āyā jo sāvan
bachapan gṇvāke maiṅ ne sab kuchh gṇvāyā
bāġh meṅ …