Chalo man jaayen ghar apne

चलो मन जायें घर अपने
Year
Language

चलो मन जायें घर अपने
इस परदेस में, ओ परदेस में
क्‌यों परदेसी राहें येऽ
चलो मन जायें घर अपने …

आँख जो भाये वो कोरा सपना
आँख जो भाये वो कोरा सपना, सारे पराये हैं कोई न अपना -2
ऐसे झूटे प्रेम में पड़ ना भूल में काहे जियेंऽ
चलो मन जायें घर अपने …

सच्चे प्रेम की ज्योत जला के
सच्चे प्रेम की ज्योत जला के, मन सुन मेरे कान लगा के -2
पाप और पुण्य की गडरी उठा के अपनी राह चलेंऽ
चलो मन जायें घर अपने …

chalo man jāyeṅ ghar apne
is pardes meṅ, o pardes meṅ
k‌yoṅ pardesī rāheṅ ye'
chalo man jāyeṅ ghar apne …

āṇkh jo bhāye vo korā sapnā
āṇkh jo bhāye vo korā sapnā, sāre parāye haiṅ koī na apnā -2
aise jhūṭe prem meṅ paṛ nā bhūl meṅ kāhe jiyeṅ'
chalo man jāyeṅ ghar apne …

sachche prem kī jyot jalā ke
sachche prem kī jyot jalā ke, man sun mere kān lagā ke -2
pāp aur puṇy kī gaḍrī uṭhā ke apnī rāh chaleṅ'
chalo man jāyeṅ ghar apne …