Chalo ik baar phir se, ajanbee ban jaayen ham donon

चलो इक बार फिर से, अजनबी बन जायें हम दोनों
Work
Year
Language

चलो इक बार फिर से, अजनबी बन जाएं हम दोनो
चलो इक बार फिर से …

न मैं तुमसे कोई उम्मीद रखूँ दिलनवाज़ी की
न तुम मेरी तरफ़ देखो गलत अंदाज़ नज़रों से
न मेरे दिल की धड़कन लड़खड़ाये मेरी बातों से
न ज़ाहिर हो तुम्हारी कश्म-कश का राज़ नज़रों से
चलो इक बार फिर से …

तुम्हें भी कोई उलझन रोकती है पेशकदमी से
मुझे भी लोग कहते हैं कि ये जलवे पराए हैं
मेरे हमराह भी रुसवाइयां हैं मेरे माझी की - 2
तुम्हारे साथ भी गुज़री हुई रातों के साये हैं
चलो इक बार फिर से …

तार्रुफ़ रोग हो जाये तो उसको भूलना बेहतर
ताल्लुक बोझ बन जाये तो उसको तोड़ना अच्छा
वो अफ़साना जिसे अंजाम तक लाना ना हो मुमकिन - 2
उसे एक खूबसूरत मोड़ देकर छोड़ना अच्छा
चलो इक बार फिर से …

chalo ik bār phir se, ajanbī ban jāeṅ ham dono
chalo ik bār phir se …

na maiṅ tumse koī ummīd rakhūṇ dilanvāzī kī
na tum merī taraf dekho galat aṅdāz nazroṅ se
na mere dil kī dhaṛkan laṛkhaṛāye merī bātoṅ se
na zāhir ho tumhārī kaśhm-kaśh kā rāz nazroṅ se
chalo ik bār phir se …

tumheṅ bhī koī uljhan roktī hai peśhkadmī se
mujhe bhī log kahte haiṅ ki ye jalve parāe haiṅ
mere hamrāh bhī rusvāiyāṅ haiṅ mere mājhī kī - 2
tumhāre sāth bhī guzrī huī rātoṅ ke sāye haiṅ
chalo ik bār phir se …

tārruf rog ho jāye to usko bhūlnā behtar
tālluk bojh ban jāye to usko toṛnā achchhā
vo afsānā jise aṅjām tak lānā nā ho mumkin - 2
use ek khūbsūrat moṛ dekar chhoṛnā achchhā
chalo ik bār phir se …