Chale jaanaa naheen, nain milaake

चले जाना नहीं, नैन मिलाके
Work
Year
Language

चले जाना नहीं, नैना मिलाके
हाय्! सैंय्या बेदर्दी, सैंय्या बेदर्दी

मेरी क़सम तुम्हे मेरे ही होके रहना
दिलों की बात किसी और से नहीं कहना
बैरी दुनिया से रखना छुपा के
हाय्! सैंय्या बेदर्दी, सैंय्या बेदर्दी
चले जाना नहीं …

नन्हीं सी जान मेरी कहो न जलाओगे
छोड़ के मुझे कहीं चले तो न जाओगे
भूल जाना नहीं दिल में बसा के
हाय्! सैंय्या बेदर्दी, सैंय्या बेदर्दी
चले जाना नहीं …

chale jānā nahīṅ, nainā milāke
hāy! saiṅyyā bedardī, saiṅyyā bedardī

merī qasam tumhe mere hī hoke rahnā
diloṅ kī bāt kisī aur se nahīṅ kahnā
bairī duniyā se rakhnā chhupā ke
hāy! saiṅyyā bedardī, saiṅyyā bedardī
chale jānā nahīṅ …

nanhīṅ sī jān merī kaho na jalāoge
chhoṛ ke mujhe kahīṅ chale to na jāoge
bhūl jānā nahīṅ dil meṅ basā ke
hāy! saiṅyyā bedardī, saiṅyyā bedardī
chale jānā nahīṅ …