Chal kaheen chalen sajnaa pyaar yahaan karnaa manaa

चल कहीं चलें सजना प्यार यहां करना मना
Work
Year
Language

चल कहीं चलें सजना प्यार यहां करना मना
बस्ती न कोई घर हो दुनिया का न कोई डर हो
सच हो गया तेरा मेरा सपना
चल कहीं चलें …

महकी फ़िज़ाएं हो ठंडी हवाएं हो
दिलबर की बाहों में दिलबर की बाहें हों
मस्ती लुटाएं दिल निगाहें शराबी
गालों पे बिखरी लबों की गुलाबी
धरती हो न अंबर हो नदिया हो न सागर हो
क़ुदरत की हो दिलकश कोई रचना
चल कहीं चलें …

यादों के मेले हों ख्वाबों के रेले हों
सारे ज़माने के ग़म को भुलाएं
जन्नत से भी सुंदर हो सबसे हसीं मंज़र हो
न गैर हो कोई न हो अपना
चल कहीं चलें …

chal kahīṅ chaleṅ sajnā pyār yahāṅ karnā manā
bastī na koī ghar ho duniyā kā na koī ḍar ho
sach ho gayā terā merā sapnā
chal kahīṅ chaleṅ …

mahkī fizāeṅ ho ṭhaṅḍī havāeṅ ho
dilbar kī bāhoṅ meṅ dilbar kī bāheṅ hoṅ
mastī luṭāeṅ dil nigāheṅ śharābī
gāloṅ pe bikhrī laboṅ kī gulābī
dhartī ho na aṅbar ho nadiyā ho na sāgar ho
qudarat kī ho dilkaśh koī rachnā
chal kahīṅ chaleṅ …

yādoṅ ke mele hoṅ khvāboṅ ke rele hoṅ
sāre zamāne ke ġham ko bhulāeṅ
jannat se bhī suṅdar ho sabse hasīṅ maṅzar ho
na gair ho koī na ho apnā
chal kahīṅ chaleṅ …