Chain se hamko kabhee, aapne jeene naa diyaa

चैन से हमको कभी, आपने जीने ना दिया
Year
Language

चैन से हमको कभी आपने जीने ना दिया
ज़हर भी चाहा अगर, पीना तो पीने ना दिया
चैन से हमको कभी

चांद के रथ में रात की दुल्हन जब जब आएगी
याद हमारी आपके दिल को तरसा जाएगी
आपने जो है दिया, वो तो किसीने ना दिया
ज़हर भी चाहा अगर, पीना तो पीने ना दिया
चैन से …

आपका ग़म जो इस दिल में दिन-रात अगर होगा
सोचके ये दम घुटता है फिर कैसे गुज़र होगा
काश ना होती अपनी जुदाई मौत ही आ जाती
कोई बहाने चैन हमारी रूह तो पा जाती
इक पल हँसना कभी दिल की लगी ने ना दिया
ज़हर भी चाहा अगर, पीना तो पीने ना दिया

chain se hamko kabhī āpne jīne nā diyā
zahar bhī chāhā agar, pīnā to pīne nā diyā
chain se hamko kabhī

chāṅd ke rath meṅ rāt kī dulhan jab jab āegī
yād hamārī āpke dil ko tarsā jāegī
āpne jo hai diyā, vo to kisīne nā diyā
zahar bhī chāhā agar, pīnā to pīne nā diyā
chain se …

āpkā ġham jo is dil meṅ din-rāt agar hogā
sochke ye dam ghuṭtā hai phir kaise guzar hogā
kāśh nā hotī apnī judāī maut hī ā jātī
koī bahāne chain hamārī rūh to pā jātī
ik pal hṇsnā kabhī dil kī lagī ne nā diyā
zahar bhī chāhā agar, pīnā to pīne nā diyā