Chaandee kee deevaar na toree, pyaar bharaa dil tor diyaa

चाँदी की दीवार न तोड़ी, प्यार भरा दिल तोड़ दिया
Work
Year
Language

चाँदी की दीवार न तोड़ी, प्यार भरा दिल तोड़ दिया
इक धनवान की बेटी ने, निर्धन का दामन तोड़ दिया
चाँदी की …

कल तक जिसने क़समें खाईं, दुख में साथ निभाने की
आज वो अपने सुख की खातिर, हो गई इक बेगाने की
शहनाइयों की गूंज में दबके, रह गई आह दीवाने की
धनवानों ने दीवाने का, ग़म से रिश्ता जोड़ दिया
इक धनवान की बेटी ने, निर्धन का दामन तोड़ दिया
चाँदी की …

ये क्‌या समझे प्यार को जिनका, सब कुछ चाँदी सोना है
धनवानों की इस दुनिया में, दिल तो एक खिलौना है
सदियों से दिल टूटता आया, दिल का बस ये रोना है
जब तक चाहा दिल से खेला, और जब चाहा तोड़ दिया
इक धनवान की बेटी ने, निर्धन का दामन तोड़ दिया
चाँदी की …

chāṇdī kī dīvār na toṛī, pyār bharā dil toṛ diyā
ik dhanvān kī beṭī ne, nirdhan kā dāman toṛ diyā
chāṇdī kī …

kal tak jisne qasmeṅ khāīṅ, dukh meṅ sāth nibhāne kī
āj vo apne sukh kī khātir, ho gaī ik begāne kī
śhahnāiyoṅ kī gūṅj meṅ dabke, rah gaī āh dīvāne kī
dhanvānoṅ ne dīvāne kā, ġham se riśhtā joṛ diyā
ik dhanvān kī beṭī ne, nirdhan kā dāman toṛ diyā
chāṇdī kī …

ye k‌yā samjhe pyār ko jinkā, sab kuchh chāṇdī sonā hai
dhanvānoṅ kī is duniyā meṅ, dil to ek khilaunā hai
sadiyoṅ se dil ṭūṭtā āyā, dil kā bas ye ronā hai
jab tak chāhā dil se khelā, aur jab chāhā toṛ diyā
ik dhanvān kī beṭī ne, nirdhan kā dāman toṛ diyā
chāṇdī kī …