Chaand too jab bhee muskuraataa hai

चाँद तू जब भी मुसकुराता है
Work
Year
Language

नू: ( चाँद तू जब भी मुसकुराता है
दिल मेरा डूब-डूब जाता है ) -2

मेरी यादों में वो भी रो-रो कर
रात ग़म की गुज़ारते होंगे
प्यार की वादियों में ग़ुम हो कर
मुझको अक्‌सर पुकारते होंगे
जब कभी ये ख़याल आता है
दिल मेरा डूब-डूब जाता है

मे: उनकी ज़ुल्फ़ों को छू लिया होगा
मस्त हो कर हवायें आई हैं
गुनगुनाती है रात थम pause थम के
दूर से यूँ सदायें आई हैं
जैसे कोई मुझे बुलाता है
दिल मेरा डूब-डूब जाता है

नू: चाँद तू जब भी मुसकुराता है
दिल मेरा डूब-डूब जाता है

nū: ( chāṇd tū jab bhī muskurātā hai
dil merā ḍūb-ḍūb jātā hai ) -2

merī yādoṅ meṅ vo bhī ro-ro kar
rāt ġham kī guzārte hoṅge
pyār kī vādiyoṅ meṅ ġhum ho kar
mujhko ak‌sar pukārte hoṅge
jab kabhī ye khayāl ātā hai
dil merā ḍūb-ḍūb jātā hai

me: unkī zulfoṅ ko chhū liyā hogā
mast ho kar havāyeṅ āī haiṅ
gungunātī hai rāt tham pause tham ke
dūr se yūṇ sadāyeṅ āī haiṅ
jaise koī mujhe bulātā hai
dil merā ḍūb-ḍūb jātā hai

nū: chāṇd tū jab bhī muskurātā hai
dil merā ḍūb-ḍūb jātā hai