Na jaane kahaan se aaee hai na jaane kahaan ko jaaegee ... ye larkee

न जाने कहां से आई है न जाने कहां को जाएगी ... ये लड़की
Work
Year
Language

न जाने कहां से आई है न जाने कहां को जाएगी -2
दीवाना किसे बनाएगी ये लड़की

बड़ी छोटी सी है ये बात
किसी के हाथ न आएगी ये लड़की -2
न जाने कहां से आई है …

ये भीगा हुआ बदन तेरा -2
इस दिल में आग लगा देगा
छाएगा बादल ज़ुल्फ़ों का
पागल तुझे बना देगा -2
करेगा याद मुझे दिन रात -2
बड़े अफ़सोस की है बात
किसी के हाथ न आएगी ये लड़की -2

ये लड़की सी भीगी भागी सी -2
क्‌या घर से भाग के आई है
ये लड़की नहीं है नागिन है
जो नींद से जाग के आई है -2
मेरे हाथों में दे दो हाथ
बड़े अफ़सोस की है बात
किसी के हाथ न आएगी ये लड़की

आराम से बैठो पास मेरे
डरने की कोई बात नहीं -2
मैं तुमसे क्‌या डरूं मेरे
ऐसे तो बुरे हालात नहीं
करेगी याद मुझे दिन रात -2
बड़े अफ़सोस की है बात
किसी के हाथ न आएगा ये लड़का -2
न जाने कहां से आई है …

na jāne kahāṅ se āī hai na jāne kahāṅ ko jāegī -2
dīvānā kise banāegī ye laṛkī

baṛī chhoṭī sī hai ye bāt
kisī ke hāth na āegī ye laṛkī -2
na jāne kahāṅ se āī hai …

ye bhīgā huā badan terā -2
is dil meṅ āg lagā degā
chhāegā bādal zulfoṅ kā
pāgal tujhe banā degā -2
karegā yād mujhe din rāt -2
baṛe afsos kī hai bāt
kisī ke hāth na āegī ye laṛkī -2

ye laṛkī sī bhīgī bhāgī sī -2
k‌yā ghar se bhāg ke āī hai
ye laṛkī nahīṅ hai nāgin hai
jo nīṅd se jāg ke āī hai -2
mere hāthoṅ meṅ de do hāth
baṛe afsos kī hai bāt
kisī ke hāth na āegī ye laṛkī

ārām se baiṭho pās mere
ḍarne kī koī bāt nahīṅ -2
maiṅ tumse k‌yā ḍarūṅ mere
aise to bure hālāt nahīṅ
karegī yād mujhe din rāt -2
baṛe afsos kī hai bāt
kisī ke hāth na āegā ye laṛkā -2
na jāne kahāṅ se āī hai …