Chaahoongaa main tujhe saanjh savere

चाहूँगा मैं तुझे साँझ सवेरे
Work
Year
Language

चाहूँगा मैं तुझे साँझ सवेरे
फिर भी कभी अब नाम को तेरे
आवाज़ मैं ना दूँगा, आवाज़ मैं ना दूँगा

देख मुझे सब है पता
सुनता है तू मन की सदा
मितवा, मेरे यार, तुझ को बार बार आवाज़ मैं ना दूँगा

दर्द भी तू, चैन भी तू
दरस भी तू, नैन भी तू
मितवा, मेरे यार, तुझ को बार बार आवाज़ मैं ना दूँगा

chāhūṇgā maiṅ tujhe sāṇjh savere
phir bhī kabhī ab nām ko tere
āvāz maiṅ nā dūṇgā, āvāz maiṅ nā dūṇgā

dekh mujhe sab hai patā
suntā hai tū man kī sadā
mitvā, mere yār, tujh ko bār bār āvāz maiṅ nā dūṇgā

dard bhī tū, chain bhī tū
daras bhī tū, nain bhī tū
mitvā, mere yār, tujh ko bār bār āvāz maiṅ nā dūṇgā