Chaahoongaa main tujhe, saanjh savere

चाहूँगा मैं तुझे, साँझ सवेरे
Work
Year
Language

चाहूँगा मैं तुझे साँझ सवेरे
फिर भी कभी अब नाम को तेरे
आवाज़ मैं न दूँगा, आवाज़ मैं न दूँगा

देख मुझे सब है पता
सुनता है तू मन की सदा (2)
मितवा …
मेरे यार तुझको बार बार
आवाज़ मैं न दूँगा, आवाज़ मैं न दूँगा
चाहूँगा मैं तुझे साँझ सवेरे

दर्द भी तू चैन भी तू
दरस भी तू नैन भी तू
मितवा …
मेरे यार तुझको बार बार
आवाज़ मैं न दूँगा, आवाज़ मैं न दूँगा

chāhūṇgā maiṅ tujhe sāṇjh savere
phir bhī kabhī ab nām ko tere
āvāz maiṅ na dūṇgā, āvāz maiṅ na dūṇgā

dekh mujhe sab hai patā
suntā hai tū man kī sadā (2)
mitvā …
mere yār tujhko bār bār
āvāz maiṅ na dūṇgā, āvāz maiṅ na dūṇgā
chāhūṇgā maiṅ tujhe sāṇjh savere

dard bhī tū chain bhī tū
daras bhī tū nain bhī tū
mitvā …
mere yār tujhko bār bār
āvāz maiṅ na dūṇgā, āvāz maiṅ na dūṇgā