Chaahe laakh karo tum poojaa ... gareebon kee suno

चाहे लाख करो तुम पूजा ... गरीबों की सुनो
Work
Year
Language

चाहे लाख करो तुम पूजा तीरथ करो हज़ार
दीन-दुखी को ठुकराया तो सब-कुछ है बेकार

गरीबों की सुनो वो तुम्हारी सुनेगा -2
तुम एक पैसा दोगे वो दस लाख देगा
दो: गरीबों की सुनो …

र: भूख लगे तो ये बच्चे आँसू पी कर रह जाते हैं
हाय गरीबों की मजबूरी क्‌या-क्‌या ये सह जाते हैं
ये बचपन के दिन हैं घड़ी खेलने की
आ: उमर ये नहीं ऐसे दुख झेलने की
र: तरस खाओ इनपे ऐ औलाद वालों
उठा लो इन्हें भी गले से लगा लो
आ: उठा लो इन्हें भी गले से लगा लो
र: मुरझाए ना फूल कहीं ये आँधी और बरसात में
दो: गरीबों की सुनो …

आ: बदक़िस्मत बीमार ये बूढ़ा क़दम-क़दम पर गिरता है
फिर भी इन बच्चों की ख़ातिर हाथ पसारे फिरता है
र: कहीं इनका ये साथ ना छूट जाए
आ: अनाथों की ये आस भी टूट जाए
र: कहाँ जाएँगे ये मुक़द्दर के मारे
ये बुझते दिए टिमटिमाते सितारे
आ: ये बुझते दिए टिमटिमाते सितारे
र: इन बेघर बेचारों की क़िस्मत है तुम्हारे हाथ में
दो: गरीबों की सुनो …

chāhe lākh karo tum pūjā tīrath karo hazār
dīn-dukhī ko ṭhukrāyā to sab-kuchh hai bekār

garīboṅ kī suno vo tumhārī sunegā -2
tum ek paisā doge vo das lākh degā
do: garīboṅ kī suno …

ra: bhūkh lage to ye bachche āṇsū pī kar rah jāte haiṅ
hāy garīboṅ kī majbūrī k‌yā-k‌yā ye sah jāte haiṅ
ye bachapan ke din haiṅ ghaṛī khelne kī
ā: umar ye nahīṅ aise dukh jhelne kī
ra: taras khāo inpe ai aulād vāloṅ
uṭhā lo inheṅ bhī gale se lagā lo
ā: uṭhā lo inheṅ bhī gale se lagā lo
ra: murjhāe nā phūl kahīṅ ye āṇdhī aur barsāt meṅ
do: garīboṅ kī suno …

ā: badaqismat bīmār ye būṛhā qadam-qadam par girtā hai
phir bhī in bachchoṅ kī khātir hāth pasāre phirtā hai
ra: kahīṅ inkā ye sāth nā chhūṭ jāe
ā: anāthoṅ kī ye ās bhī ṭūṭ jāe
ra: kahāṇ jāeṇge ye muqaddar ke māre
ye bujhte die ṭimṭimāte sitāre
ā: ye bujhte die ṭimṭimāte sitāre
ra: in beghar bechāroṅ kī qismat hai tumhāre hāth meṅ
do: garīboṅ kī suno …