Chaahat meree rang laaee to main paagal see hone lagee

चाहत मेरी रंग लाई तो मैं पागल सी होने लगी
Work
Year
Language

अ: चाहत मेरी रंग लाई तो -2 मैं पागल सी होने लगी
कु: पहली दफ़ा इस दिल में भी हलचल सी होने लगी -2
अ: आके तेरी इन बाहों में -2
कु: तू दुल्हन सी होने लगी
अ: पहली दफ़ा इस दिल में …

अ: कल भी ये दुनिया नज़ारे लिए थी बहारों का मौसम भी था
कु: कल भी सजा था चाँद गगन पे सितारों क आलम भी था
अ: आज फिर क्‌यूँ सब कुछ नया लगने लगा है मुझे
कु: और पास आजा ओ जान-ए-मन जी भरके देखूँ तुझे
अ: तीर-ए-नज़र ऐसा चला -2 मैं घायल सी होने लगी
कु: पहली दफ़ा इस दिल में …

हर बात दिल की कह दी है तुमसे कुछ भी छिपाया नहीं
अ: साथ रहोगे कब तक मेरे ये तो बताया नहीं
कु: साथ साथ रहना हमें अब न जुदा होंगे हम
अ: जान से भी प्यारी लगे तेरी वफ़ा ओ सनम
कु: तेरे लिए अब ज़िन्दगी -2 मुश्किल सी होने लगी
अ: पहली दफ़ा इस दिल में …

a: chāhat merī raṅg lāī to -2 maiṅ pāgal sī hone lagī
ku: pahlī dafā is dil meṅ bhī halchal sī hone lagī -2
a: āke terī in bāhoṅ meṅ -2
ku: tū dulhan sī hone lagī
a: pahlī dafā is dil meṅ …

a: kal bhī ye duniyā nazāre lie thī bahāroṅ kā mausam bhī thā
ku: kal bhī sajā thā chāṇd gagan pe sitāroṅ ka ālam bhī thā
a: āj phir k‌yūṇ sab kuchh nayā lagne lagā hai mujhe
ku: aur pās ājā o jān-e-man jī bharke dekhūṇ tujhe
a: tīr-e-nazar aisā chalā -2 maiṅ ghāyal sī hone lagī
ku: pahlī dafā is dil meṅ …

har bāt dil kī kah dī hai tumse kuchh bhī chhipāyā nahīṅ
a: sāth rahoge kab tak mere ye to batāyā nahīṅ
ku: sāth sāth rahnā hameṅ ab na judā hoṅge ham
a: jān se bhī pyārī lage terī vafā o sanam
ku: tere lie ab zindgī -2 muśhkil sī hone lagī
a: pahlī dafā is dil meṅ …