slow: ulfat meṅ, zamāne kī …
har rasm ko, ṭhukrāo …
ulfat meṅ zamāne kī, har rasm ko ṭhukrāo
phir sāth mere āo o
ulfat meṅ zamāne kī …
qadmoṅ ko nā rokegī, zaṅjīr rivāzoṅ kī
ham toṛ ke nikleṅge, dīvār samājoṅ kī
dūrī pe sahī maṅzil, dūrī se, nā ghabrāo
ulfat meṅ zamāne kī …
maiṅ apnī bahāroṅ ko, raṅgīn ban lūṇgā
sau bār tumheṅ apnī, palkoṅ pe biṭhā lūṇgā
śhabnam kī tarah mere, gulaśhan meṅ, bikhar jāo
ulfat meṅ zamāne kī …
ā jāo ke jīne ke, hālāt badal ḍāleṅ
ham tum zamāne ke, din rāt badal ḍāleṅ
tum merī vafāoṅ kī, ek bār, qasam khāo
ulfat meṅ zamāne kī …
Lata Version
ulfat meṅ zamāne kī, har rasm ko ṭhukrāo
phir sāth mere āo, phir sāth mere āo
ulfat meṅ zamāne kī …
duniyā se bahut āge jis bhīṛ meṅ ham hoṅge
ye soch lo pahle se har bhīṛ meṅ ġham hoṅge
hai khauf ġhamoṅ se to ruk jāo, ṭhahar jāo
phir sāth mere āo, phir sāth mere āo
maiṅ ṭūṭī huī kaśhtī khud pār lagā lūṇgī
tūfān ko maujoṅ kī patvār banā lūṇgī
majhdhār kā ḍar hai to sāhil pe ṭhahar jāo
phir sāth mere āo, phir sāth mere āo
dil aur kahīṅ dekar tum chāhe badal jāo
do chār qadam chal kar mumkin hai bahak jāo
phir sāth mere āo, phir sāth mere āo