Bye bye main tujhe chhor ke kahaan jaaoongaa

ब्ये ब्ये मैं तुझे छोड़ के कहाँ जाऊँगा
Work
Year
Language

bye bye bye bye
मैं तुझे छोड़ के कहाँ जाऊँगा
मेरे भोले सनम तेरे सर की क़सम जाके जल्दी मैं लौट आऊँगा
मैं तुझे छोड़ के …

जब तक सजेगी साँसों की सरगम तेरे ही नग़्में गाता रहूँगा
मैं जिस्म हूँ तू जां होंगे कभी न जुदा
ऐसे न आँसू बहा हँस के मुझे कर विदा
मेरे भोले सनम …

कैसे सहूँगा दर्द-ए-जुदाई तेरे बिना मैं कैसे रहूँगा
जाऊँगा लेके मैं साथ तुझको फिर न तुझे मैं bye bye कहूँगा
मैने जो वादे किए उनको निभाऊँगा मैं
तेरा यह चेहरा हसीं कैसे भुलाऊँगा मैं
मेरे भोले सनम …

bye bye bye bye
maiṅ tujhe chhoṛ ke kahāṇ jāūṇgā
mere bhole sanam tere sar kī qasam jāke jaldī maiṅ lauṭ āūṇgā
maiṅ tujhe chhoṛ ke …

jab tak sajegī sāṇsoṅ kī sargam tere hī naġhmeṅ gātā rahūṇgā
maiṅ jism hūṇ tū jāṅ hoṅge kabhī na judā
aise na āṇsū bahā hṇs ke mujhe kar vidā
mere bhole sanam …

kaise sahūṇgā dard-e-judāī tere binā maiṅ kaise rahūṇgā
jāūṇgā leke maiṅ sāth tujhko phir na tujhe maiṅ bye bye kahūṇgā
maine jo vāde kie unko nibhāūṇgā maiṅ
terā yah chehrā hasīṅ kaise bhulāūṇgā maiṅ
mere bhole sanam …