Ai choree-choree chupke-chupke tere mere bin

ऐ चोरी-चोरी चुपके-चुपके तेरे मेरे बिन्
Work
Year
Language

ऐ चोरी-चोरी चुपके-चुपके
तेरे मेरे बिन इस कमरे में और कौन है
किसने बुलाया बिना पूछे चला आया
इसे पकड़ो ये चोर कौन है
चोरी-चोरी …

ओ ये खिड़की खुली है ये तो बन्द थी
नहीं मुझे ताज़ा हवा पसन्द थी
अरे मुझसे कहा होता मैं रज़ामन्द थी
शर्म-ओ-हया की दीवार बुलन्द थी
अच्छा ये सब छोड़ो पर इतना तो सोचो
कि मैं भी चुप तुम भी चुप
किसने मचाया ये शोर कौन है
कौन है भई
ये तो पर्दा है
चोरी-चोरी …

धड़कन को छेड़ा न दिल से ही खेले
काश आज रात हम होते अकेले
होते जो अकेले तो क़यामत हो जाती
बाद में होता पर मुहब्बत हो जाती
उफ़ क्‌या सितम है बड़ा बेशर्म है
देखो फिर आया हमें कर रहा है ये bore कौन है
ये कौन है अरे कौन है
ये तो मैं हूँ भई
ओ हो हो हो

ai chorī-chorī chupke-chupke
tere mere bin is kamre meṅ aur kaun hai
kisne bulāyā binā pūchhe chalā āyā
ise pakaṛo ye chor kaun hai
chorī-chorī …

o ye khiṛkī khulī hai ye to band thī
nahīṅ mujhe tāzā havā pasand thī
are mujhse kahā hotā maiṅ razāmand thī
śharm-o-hayā kī dīvār buland thī
achchhā ye sab chhoṛo par itnā to socho
ki maiṅ bhī chup tum bhī chup
kisne machāyā ye śhor kaun hai
kaun hai bhaī
ye to pardā hai
chorī-chorī …

dhaṛkan ko chheṛā na dil se hī khele
kāśh āj rāt ham hote akele
hote jo akele to qayāmat ho jātī
bād meṅ hotā par muhabbat ho jātī
uf k‌yā sitam hai baṛā beśharm hai
dekho phir āyā hameṅ kar rahā hai ye bore kaun hai
ye kaun hai are kaun hai
ye to maiṅ hūṇ bhaī
o ho ho ho