ma: (ṭhahar zarā o jānevāle) - 2
babu misṭar gore kāle
kab se baiṭhe ās lagāe
ham matvāle pāliśhvāle
ko: ṭhahar zarā o jānevāle
babu misṭar gore kāle
kab se baiṭhe ās lagāe
ham matvāle pāliśhvāle …
ā: ye kālī pāliśh ek ānā
ma: ye brāūn pāliśh ek ānā
ā: jūte kā māliśh ek ānā
ā/ma: har māl milegā ek ānā
na blaism na pākhauṛī hai
na pagaṛī hai na chorī
chhoṭī sī dukān lagāe
ham matvāle pāliśhvāle …
ma: mehnat kā phal miṭhā miṭhā
ko: hāṇ bhai hāṇ re
ma: bhāg kisīkā rūṭhā jhūṭhā
ko: nā bhai nā re
ma: mehnat kī ek rūkhī roṭī
ko: hāṇ bhai hāṇ re
ma: aur mufat kī dudh malāī
ko: nā bhai nā re
lālach jo phokaṭ kī khāe
lālach jo harām kī khāe
ham matvāle pāliśhvāle …
ma: paṅḍit jī maṅtar paṛte haiṅ
vo gaṅgā jī nahlāte haiṅ
ko: ham peṭ kā maṅtar paṛte hai
jūte kā muh chamkāte hai
ma: paṅḍit ko pāṇch chavannī hai
ko: ham ko to ek ikannī hai
ma: phir bhed bhāv ye kaisā hai
ko: jab sab kā pyārā paisā hai
ūṇch nīch kuchh samajh na pāe
ham matvāle pāliśhvāle …