Bhoole se mohabbat kar baithaa ... dil hee to hai

भूले से मोहब्बत कर बैठा ... दिल ही तो है
Year
Language

भूले से मोहब्बत कर बैठा
नादाँ था बेचारा दिल ही तो है
हर दिल से ख़ता हो जाती है
बिगड़ो न ख़ुदारा दिल ही तो है
दुनिया में हमारा दिल ही तो है

( इस तरह निगाहें मत फेरो
ऐसा न हो धड़कन रुक जाए ) -2
सीने में कोई पत्थर तो नहीं -2
एहसास का मारा दिल ही तो है
दुनिया में हमारा …

( बेदादगरों की ठोकर से
सब ख़्वाब सुहाने चूर हुए ) -2
अब दिल का सहारा ग़म ही तो है -2
अब ग़म का सहारा दिल ही तो है
दुनिया में हमारा …

bhūle se mohabbat kar baiṭhā
nādāṇ thā bechārā dil hī to hai
har dil se khatā ho jātī hai
bigaṛo na khudārā dil hī to hai
duniyā meṅ hamārā dil hī to hai

( is tarah nigāheṅ mat phero
aisā na ho dhaṛkan ruk jāe ) -2
sīne meṅ koī patthar to nahīṅ -2
ehsās kā mārā dil hī to hai
duniyā meṅ hamārā …

( bedādagroṅ kī ṭhokar se
sab khvāb suhāne chūr hue ) -2
ab dil kā sahārā ġham hī to hai -2
ab ġham kā sahārā dil hī to hai
duniyā meṅ hamārā …