Bhejaa hai ik gulaab kisee ne kitaab men

भेजा है इक गुलाब किसी ने किताब में
Work
Year
Language

हूँ
भेजा है इक गुलाब किसी ने किताब में
जी चाहता है भेज दूं मैं दिल जवाब में
भेजा है इक …

महका हुआ है सुबहो तलक हां तन बदन मेरा
आ कल रात आप मिल गए थे मुझको ख्वाब में
भेजा है इक …

ढलने लगी है ज़िंदगी उसके ही रंग में
ऐसी कशिश न देखी कभी किसी गुलाब में
भेजा है इक …

धड़का है दिल तो इसमें नहीं आपका कुसूर
हो अरमां मचल ही जाते हैं अक्‌सर शबाब में
भेजा है इक …

hūṇ
bhejā hai ik gulāb kisī ne kitāb meṅ
jī chāhtā hai bhej dūṅ maiṅ dil javāb meṅ
bhejā hai ik …

mahkā huā hai subho talak hāṅ tan badan merā
ā kal rāt āp mil gae the mujhko khvāb meṅ
bhejā hai ik …

ḍhalne lagī hai ziṅdgī uske hī raṅg meṅ
aisī kaśhiśh na dekhī kabhī kisī gulāb meṅ
bhejā hai ik …

dhaṛkā hai dil to ismeṅ nahīṅ āpkā kusūr
ho armāṅ machal hī jāte haiṅ ak‌sar śhabāb meṅ
bhejā hai ik …