Bheetar-bheetar khaae chalo baahar shor

भीतर-भीतर खाए चलो बाहर शोर्
Work
Year
Language

मु: भीतर-भीतर खाए चलो बाहर शोर मचाए चलो
म: भेद कौन खोलेगा मुँह से कौन बोलेगा
दो: भीतर-भीतर खाए …

मु: जनता भोली-भाली है पेट भी जेब भी खाली है
नारों से गरमा दो लहू वादों से बहलाए चलो
दो: भीतर-भीतर खाए …

मु: बढ़ती जाए मंहगाई घटती जाए है कमाई
म: चीज़ों के दाम बढ़ाए चलो इन्सां का भाव गिराए चलो
दो: भीतर-भीतर खाए …

म: हाथों में कुछ नोट लो फिर चाहो जितने वोट लो
मु: खोटे से खोटा काम करो बापू को नीलाम करो
दो: भीतर-भीतर खाए …

असरानी: अरे बापू की तस्वीर है ये
म: तेरे बाप की क्‌या जागीर है ये
बापू-बापू करते रहो
मु: ज़हर दिलों में भरते रहो
म: बस्ती-बस्ती आग लगे
मु: हर इन्सान इक नाग लगे
प्रान्त-प्रान्त को तंग करे
म: भाषा से भाषा जंग करे
मु: कोई यहाँ मलियाली
म: कोई यहाँ बंगाली
मु: गुजराती है कोई यहाँ
म: पंजाबी है कोई यहाँ
मु: कोई है मराठा और वो तमिल
म: आपस में यारी है मुश्किल
दो: सबको चाहिए अपनी ज़मीं हिन्दुस्तानी कोई नहीं
को: हिन्दुस्तानी कोई नहीं -2

मु: देश कहाँ अब देश रहा
म: देश कहाँ अब देश रहा
मु: देश तो सीमाओं में बंटा
म: और भी टुकड़े उड़ाए चलो
दो: कुर्सी अपनी बचाए चलो
भीतर-भीतर खाए …

mu: bhītar-bhītar khāe chalo bāhar śhor machāe chalo
ma: bhed kaun kholegā muṇh se kaun bolegā
do: bhītar-bhītar khāe …

mu: jantā bholī-bhālī hai peṭ bhī jeb bhī khālī hai
nāroṅ se garmā do lahū vādoṅ se bahlāe chalo
do: bhītar-bhītar khāe …

mu: baṛhtī jāe maṅhgāī ghaṭtī jāe hai kamāī
ma: chīzoṅ ke dām baṛhāe chalo insāṅ kā bhāv girāe chalo
do: bhītar-bhītar khāe …

ma: hāthoṅ meṅ kuchh noṭ lo phir chāho jitne voṭ lo
mu: khoṭe se khoṭā kām karo bāpū ko nīlām karo
do: bhītar-bhītar khāe …

asrānī: are bāpū kī tasvīr hai ye
ma: tere bāp kī k‌yā jāgīr hai ye
bāpū-bāpū karte raho
mu: zahar diloṅ meṅ bharte raho
ma: bastī-bastī āg lage
mu: har insān ik nāg lage
prānt-prānt ko taṅg kare
ma: bhāṣhā se bhāṣhā jaṅg kare
mu: koī yahāṇ maliyālī
ma: koī yahāṇ baṅgālī
mu: gujrātī hai koī yahāṇ
ma: paṅjābī hai koī yahāṇ
mu: koī hai marāṭhā aur vo tamil
ma: āpas meṅ yārī hai muśhkil
do: sabko chāhie apnī zamīṅ hindustānī koī nahīṅ
ko: hindustānī koī nahīṅ -2

mu: deśh kahāṇ ab deśh rahā
ma: deśh kahāṇ ab deśh rahā
mu: deśh to sīmāoṅ meṅ baṅṭā
ma: aur bhī ṭukaṛe uṛāe chalo
do: kursī apnī bachāe chalo
bhītar-bhītar khāe …