chi: (mere dil meṅ tū hī tū hai, dil kī davā kyā karūṇ
jag: dil bhī tū hai jāṇ bhī tū hai, tujhpe fidā kyā karūṇ) -2
do: mere dil meṅ tū hī tū hai, dil kī davā kyā karūṇ
chi: khud ko kho ke tujhko pākar kyā-kyā mil kyā kahūṇ
terī hoke jīne meṅ kyā āy mazā kyā kahūṇ
jag: kaise din haiṅ kaisī rāteṅ kaisī fizā kyā kahūṇ
merī hoke tūne mujhko kyā kyā diyā kyā kahūṇ
chi: mere pahlū meṅ jab tū hai phir maiṅ duā kyā karūṇ
jag: dil bhī tū hai jāṇ bhī tū hai tujhpe fidā kyā karūṇ
do: mere dil meṅ tū hī tū hai, dil kī davā kyā karūṇ
jag: hai ye duniyā dil kī duniyā milke raheṅge yahāṇ
lūṭeṅge ham khuśhiyāṇ har pal duḥakh na saheṅge yahāṇ
chi: armāno ke chaṅchal dhāre aise baheṅge yahāṇ
ye to sapno kī jannat hai, sab hī kaheṅge yahāṇ
ye duniyā mere dil meṅ basī hai, dil se judā kyā karūṇ
jag: dil bhī tū hai jāṇ bhī tū hai, tujhpe fidā kyā karūṇ) -2
do: mere dil meṅ tū hī tū hai, dil kī davā kyā karūṇ