zb: sājan, ā jā; rājan, ā jā
sājan, kheleṅ dil ke khel
rājan, kheleṅ dil ke khel
gha: sajnī, man meṅ samā jā, ā jā
zb: tum jīt gaye ho prīt kī bāzī
dil apnā maiṅ hārī
jamunā ke taṭ jaise
jīte rādhe se banvārī
gha: sajnī, man meṅ samā jā, ā jā
jīvan-darpaṇ meṅ ab hogā
dil se dil kā mel
bo: kheleṅ dil ke khel …
zb: ham tum bichhaṛe bhī soye the
gha: jaise nīṅd aur nainā
zb: sāṇjh savere phir mil jāeṇ
gha: jaise din aur rainā
gha: sajnī, man meṅ samā jā, ā jā
bo: prem ke raṇ meṅ jo kuchh bīte
man se jāeṇ jhel
bo: kheleṅ dil ke khel …