Bhagvaan ik qusoor kee itnee baree sazaa

भगवान इक क़ुसूर की इतनी बड़ी सज़ा
Work
Year
Language

भगवान इक क़ुसूर की इतनी बड़ी सज़ा
दुनिया तेरी यही है तो दुनिया से मैं चला
भगवान इक क़ुसूर …

दुनिया के ज़ालिमों ने चलाईं वो आँधियाँ
सारे चिराग़ बुझ गए मैं देखता रहा
दुनिया तेरी यही है …

मैं ये समझ रहा था मेरे दाग़ धुल गए
होगा कुछ और ख़ून-ए-जिगर ये पता न था
दुनिया तेरी यही है …

मुझ सा बदनसीब न होगा जहान में
जो भी मिला उसी ने गुनहगार ही कहा
दुनिया तेरी यही है …

bhagvān ik qusūr kī itnī baṛī sazā
duniyā terī yahī hai to duniyā se maiṅ chalā
bhagvān ik qusūr …

duniyā ke zālimoṅ ne chalāīṅ vo āṇdhiyāṇ
sāre chirāġh bujh gae maiṅ dekhtā rahā
duniyā terī yahī hai …

maiṅ ye samajh rahā thā mere dāġh dhul gae
hogā kuchh aur khūn-e-jigar ye patā na thā
duniyā terī yahī hai …

mujh sā badansīb na hogā jahān meṅ
jo bhī milā usī ne gunahgār hī kahā
duniyā terī yahī hai …