ā: tere tīr-e-nazar kā balam dil niśhānā huā
 terī-merī mohabbat kā āj ek fasānā huā
ra: nām sunte hī terā sanam maiṅ dīvānā huā
 tujhko dil meṅ basāe huye ek zamānā huā
ā: ( balmā terī nazar se nazar jo milī
 phūl banne lagī mere dil kī kalī ) -2
 tum jo hamse mile, śhikve dil ke chale, lab se niaklī sadā
 terī-merī mohabbat kā āj ek fasānā huā
ra: nām sunte hī terā sanam maiṅ dīvānā huā
 ( kuchh na apnī khabar hai na dil kā patā
 terī bātoṅ ne kaisā ye jādū kiyā ) -2
 ḍāl kar ek nazar, chhīnā merā jigar, tūne ai dilrubā
 nām sunte hī terā sanam maiṅ dīvānā huā
ā: terī-merī mohabbat kā āj ek fasānā huā
 ( mil gaye ho to phir ab na honā judā
 merī sāṇsoṅ meṅ ā mere dil meṅ samā ) -2
 koī hamse sune, hāṇ ye kyā chīz hai, terī zālim adā
 terī-merī mohabbat kā āj ek fasānā huā
ra: nām sunte hī terā sanam maiṅ dīvānā huā
 ( jhūmtā hūṇ terā jām-e-ulfat piye
 bhūl baiṭhā zamāne ko tere liye ) -2
 bhūlnā nā mujhe ab divāne ko hai ek terā āsrā
 nām sunte hī terā sanam maiṅ dīvānā huā
 tujhko dil meṅ basāe huye ek zamānā huā
ā: tere tīr-e-nazar kā balam dil niśhānā huā
 terī-merī mohabbat kā āj ek fasānā huā