Betaab ham aavaaraa ham hain ... yahee zindgee hai apnee

बेताब हम आवारा हम हैं ... यही ज़िंदगी है अपनी
Work
Year
Language

बेताब हम आवारा हम हैं बीते सौ जनम आवारा हम हैं
कभी चल दिए कभी थम गए कभी ग़म मिले कभी ग़म गए
यही ज़िंदगी है अपनी
बेताब हम आवारा हम …

तुमको समझाएं क्‌या हमको भी प्यार था
कहती थी वो सदा तू ही तो है मेरा
वो लड़की मगर खो गई है किसी और की हो गई है
बेताब हम आवारा हम …

पहले जो ख्वाब थे सब कामयाब थे
पहले थी राह में मंज़िल निगाह में
मगर नहीं अब कोई मंज़िल चले हम जिधर भी कहे दिल
बेताब हम आवारा हम …

betāb ham āvārā ham haiṅ bīte sau janam āvārā ham haiṅ
kabhī chal die kabhī tham gae kabhī ġham mile kabhī ġham gae
yahī ziṅdgī hai apnī
betāb ham āvārā ham …

tumko samjhāeṅ k‌yā hamko bhī pyār thā
kahtī thī vo sadā tū hī to hai merā
vo laṛkī magar kho gaī hai kisī aur kī ho gaī hai
betāb ham āvārā ham …

pahle jo khvāb the sab kāmyāb the
pahle thī rāh meṅ maṅzil nigāh meṅ
magar nahīṅ ab koī maṅzil chale ham jidhar bhī kahe dil
betāb ham āvārā ham …