bādal yūṇ garajtā hai ḍar kuchh aisā lagtā hai
chamak-chamak ke lapak ke ye bijlī ham pe gir jāyegī
bāhar bhī tūfān, andar bhī tūfān
bīch meṅ do tūfānoṅ ke ye śhīśhe kā makān
aise dil dhaṛaktā hai
ḍar kuchh aisā lagtā hai …
ye dīvānī śhām ye tūfānī śhām
āg barastī hai sāvan meṅ pānī kā hai nām
bas kuchh bhī ho saktā hai
ḍar kuchh aisā lagtā hai …
taubā husn-e-yār badle raṅg hazār
śharm kabhī ātī hai aur kabhī ātā hai pyār
dekheṅ kaun ṭhahartā hai
ḍar kuchh aisā lagtā hai …
tum baiṭho us pār, ham baiṭheṅ is pār
āo apne bīch banā leṅ ham koī dīvār
dil phir bhī mil saktā hai
ḍar kuchh aisā lagtā hai …