Beetee naa bitaayee rainaa, birhaa kee jaayee rainaa

बीती ना बितायी रैना, बिरहा की जायी रैना
Work
Year
Language

बीती ना बिताई रैना, बिरहा की जाई रैना
भीगी हुयी अँखियोंने लाख बुझाई रैना

बीती हुयी बतियाँ कोई दोहराये
भूले हुए नामों से कोई तो बुलाये
चाँद की बिंदी वाली, बिंदीवाली रतिया
जागी हुयी अखियों में रात ना आयी रैना

युग आते हैं और युग जाए
छोटी छोटी यादों के पल नहीं जाए
झूठ से काली लागे, लागे काली रतिया
रूठी हुयी अखियों ने, लाख मनाई रैना

bītī nā bitāī rainā, birhā kī jāī rainā
bhīgī huyī aṇkhiyoṅne lākh bujhāī rainā

bītī huyī batiyāṇ koī dohrāye
bhūle hue nāmoṅ se koī to bulāye
chāṇd kī biṅdī vālī, biṅdīvālī ratiyā
jāgī huyī akhiyoṅ meṅ rāt nā āyī rainā

yug āte haiṅ aur yug jāe
chhoṭī chhoṭī yādoṅ ke pal nahīṅ jāe
jhūṭh se kālī lāge, lāge kālī ratiyā
rūṭhī huyī akhiyoṅ ne, lākh manāī rainā