Beetee na bitaaee rainaa

बीती न बिताई रैना
Work
Year
Language

लता: बीती न बिताई रैना बिरहा की जाई रैना
भीगी हुई अंखियों ने लाख बुझाई रैना

बीती हुई बतियाँ कोई दोहराये
भूले हुए नामों से कोई तो बुलाये
चाँद … चाँद …
होऽ ओऽ

ओऽ

भुपिन्दर: ओऽ चाँद की बिन्दी वाली, बिन्दी वाली रतिया
जागी हुई अंखियों में रात न आई रैना
बीती न बिताई रैना बिरहा की जाई रैना
बीती न बिताई रैना

भुपिन्दर: युग आते हैं और युग जाएँ
छोटी छोटी यादों के

लता: पल नहीं जाएँ
झूठ से काली लागे, लागे काली रतिया
रूठी हुईं अंखियों ने लाख मनाई रैना

लता, भुपिन्दर: बीती न बिताई रैना बिरहा की जाई रैना
बीती न बिताई रैना

latā: bītī na bitāī rainā birhā kī jāī rainā
bhīgī huī aṅkhiyoṅ ne lākh bujhāī rainā

bītī huī batiyāṇ koī dohrāye
bhūle hue nāmoṅ se koī to bulāye
chāṇd … chāṇd …
ho' o'

o'

bhupindar: o' chāṇd kī bindī vālī, bindī vālī ratiyā
jāgī huī aṅkhiyoṅ meṅ rāt na āī rainā
bītī na bitāī rainā birhā kī jāī rainā
bītī na bitāī rainā

bhupindar: yug āte haiṅ aur yug jāeṇ
chhoṭī chhoṭī yādoṅ ke

latā: pal nahīṅ jāeṇ
jhūṭh se kālī lāge, lāge kālī ratiyā
rūṭhī huīṅ aṅkhiyoṅ ne lākh manāī rainā

latā, bhupindar: bītī na bitāī rainā birhā kī jāī rainā
bītī na bitāī rainā