बीते नहीं रात सनम करो कोई बात सनम्
गी: बीते नहीं रात सनम करो कोई बात सनम
दुनिया सोए हमें नींद लागे ना
मु: मिले भी तो दूर से हम कोई देखे ये सितम
मैं तो जागूँ मेरी तक़दीर जागे ना
मानो सनम कटेगी ये रात नहीं जो हमीं साथ नहीं
गी: क्या हुआ जो तेरा मेरा साथ नहीं ये कोई बात नहीं
मु: ना बनो जी दिये देते हैं गवाही तेरे नैना
गी: बीते नहीं रात सनम …
खिड़की खुली चन्दा नज़र आ ही गया मुझे तड़पा ही गया
मु: नाम तेरा ज़ुबाँ पर लहरा ही गया लब तक आ ही गया
गी: जो लबों पे है वो कह दे जो है दिल में वो न कहना
मु: मिले भी तो दूर से …
रात ढली चाँदनियां ज़र्द भी है ये हवा सर्द भी है
गी: हाँ ऐ पिया हवा ज़रा सर्द भी है दिल में कुछ दर्द भी है
मु: न कहा था मेरी जां हमसे कभी दूर न रहना
गी: बीते नहीं रात सनम …
gī: bīte nahīṅ rāt sanam karo koī bāt sanam
duniyā soe hameṅ nīṅd lāge nā
mu: mile bhī to dūr se ham koī dekhe ye sitam
maiṅ to jāgūṇ merī taqdīr jāge nā
māno sanam kaṭegī ye rāt nahīṅ jo hamīṅ sāth nahīṅ
gī: kyā huā jo terā merā sāth nahīṅ ye koī bāt nahīṅ
mu: nā bano jī diye dete haiṅ gavāhī tere nainā
gī: bīte nahīṅ rāt sanam …
khiṛkī khulī chandā nazar ā hī gayā mujhe taṛpā hī gayā
mu: nām terā zubāṇ par lahrā hī gayā lab tak ā hī gayā
gī: jo laboṅ pe hai vo kah de jo hai dil meṅ vo na kahnā
mu: mile bhī to dūr se …
rāt ḍhalī chāṇdniyāṅ zard bhī hai ye havā sard bhī hai
gī: hāṇ ai piyā havā zarā sard bhī hai dil meṅ kuchh dard bhī hai
mu: na kahā thā merī jāṅ hamse kabhī dūr na rahnā
gī: bīte nahīṅ rāt sanam …