Beete na beete na rainaa

बीते न बीते न रैना
Work
Year
Language

बीते न बीते न रैना
कोरे हैं नींद से नैना
नैनो के सपने भी गूँगे
आये तो बोले न बैना
बीते न बीते न रैना …

मारू में उड़ती हैं पागल हवाएं
मारू अकेले न जाना
रेती के ढेरों के उड़ते बबूले
रेती में घर न बनाना
बीते न बीते न रैना …

रातों के पन्नों पे न कोई साया
न कोई संगी न साथी
आँगन में उतरे न सुबह के पाखी
न कोई साजन न साक़ी
बीते न बीते न रैना …

bīte na bīte na rainā
kore haiṅ nīṅd se nainā
naino ke sapne bhī gūṇge
āye to bole na bainā
bīte na bīte na rainā …

mārū meṅ uṛtī haiṅ pāgal havāeṅ
mārū akele na jānā
retī ke ḍheroṅ ke uṛte babūle
retī meṅ ghar na banānā
bīte na bīte na rainā …

rātoṅ ke pannoṅ pe na koī sāyā
na koī saṅgī na sāthī
āṇgan meṅ utre na subah ke pākhī
na koī sājan na sāqī
bīte na bīte na rainā …