Beet gaee hai aadhee raat chaandniyaa dheere-dheere

बीत गई है आधी रात चाँदनिया धीरे-धीरे
Year
Language

र: ( बीत गई है आधी रात ) -2 चाँदनिया धीरे-धीरे आना -2
ल: कैसे कहूँ मैं दिल की बात जिया तेरे बिना है दीवाना -2

र: प्यार मेरा जागे ज़माना सोया-सोया
झूमे तेरे आगे दीवाना खोया-खोया
ल: ( छीन ली तूने मुँह की बात ) -2 जिया तेरे बिना है दीवाना
र: बीत गई है आधी रात …

ल: जलते हुए तारों के दीयों को बुझाती
आई तेरे अँगना में छुपती छुपाती
र: दे के मेरे हाथों में हाथ चाँदनिया धीरे-धीरे आना
ल: कैसे कहूँ मैं …

र: आ के मेरे दिल से गुज़र मत जाना
कर तो लिया वादा मुक़र मत जाना
ल: ( मैं तो रहूँगी तेरे साथ ) -2 जिया तेरे बिना है दीवाना
र: बीत गई है आधी रात …

ra: ( bīt gaī hai ādhī rāt ) -2 chāṇdniyā dhīre-dhīre ānā -2
la: kaise kahūṇ maiṅ dil kī bāt jiyā tere binā hai dīvānā -2

ra: pyār merā jāge zamānā soyā-soyā
jhūme tere āge dīvānā khoyā-khoyā
la: ( chhīn lī tūne muṇh kī bāt ) -2 jiyā tere binā hai dīvānā
ra: bīt gaī hai ādhī rāt …

la: jalte hue tāroṅ ke dīyoṅ ko bujhātī
āī tere aṇgnā meṅ chhuptī chhupātī
ra: de ke mere hāthoṅ meṅ hāth chāṇdniyā dhīre-dhīre ānā
la: kaise kahūṇ maiṅ …

ra: ā ke mere dil se guzar mat jānā
kar to liyā vādā muqar mat jānā
la: ( maiṅ to rahūṇgī tere sāth ) -2 jiyā tere binā hai dīvānā
ra: bīt gaī hai ādhī rāt …