Bedardee baalmaa tujhko meraa man yaad kartaa hai

बेदर्दी बालमा तुझको मेरा मन याद करता है
Work
Year
Language

बेदर्दी बालमा तुझको मेरा मन याद करता है
बरसता है जो आँखों से वो सावन याद करता है

कभी हम साथ गुज़रे जिन सजीली रहगुज़ारों से
फ़िज़ा के भेस में गिरते हैं अब पत्ते चनारों से
ये राहें याद करती हैं ये गुलशन याद करता है

कोई झोंका हवा का जब मेरा आँचल उड़ाता है
गुमाँ होता है जैसे तू मेरा दामन हिलाता है
कभी चूमा था जो तूने वो दामन याद करता है

वो ही हैं झील के मंदर वो ही किरनों कि बरसातें
जहाँ हम तुम किया करते थे पहरों प्यार की बातें
तुझे इस झील का ख़ामोश दरपन याद करता है

bedardī bālmā tujhko merā man yād kartā hai
barastā hai jo āṇkhoṅ se vo sāvan yād kartā hai

kabhī ham sāth guzre jin sajīlī rahguzāroṅ se
fizā ke bhes meṅ girte haiṅ ab patte chanāroṅ se
ye rāheṅ yād kartī haiṅ ye gulaśhan yād kartā hai

koī jhoṅkā havā kā jab merā āṇchal uṛātā hai
gumāṇ hotā hai jaise tū merā dāman hilātā hai
kabhī chūmā thā jo tūne vo dāman yād kartā hai

vo hī haiṅ jhīl ke maṅdar vo hī kirnoṅ ki barsāteṅ
jahāṇ ham tum kiyā karte the pahroṅ pyār kī bāteṅ
tujhe is jhīl kā khāmośh darpan yād kartā hai