Bechain karne vaale too bhee na chain paaye

बेचैन करने वाले तू भी न चैन पाये
Work
Year
Language

यही दुआ है कि तुझको मिले सितम की सज़ा
जो मेरे दिल का है वो हाल हो तेरे दिल का

बेचैन करने वाले तू भी न चैन पाये
तेरी ही बेवफ़ाई तुझको लहु रुलाये

तू भी तड़प तड़प कर पुरक़त की रात काटे
गुज़रा हुआ ज़माना तुझको भी याद आये

तड़पे तेरी मुहब्बत रोये तेरी जवानी
हर आह तेरी लब पर फ़रियाद बन के आये

टूटे तेरे सहारे कोई भी हो न तेरा
मेरी तरह से तू भी अपने पे रहम खाये

yahī duā hai ki tujhko mile sitam kī sazā
jo mere dil kā hai vo hāl ho tere dil kā

bechain karne vāle tū bhī na chain pāye
terī hī bevafāī tujhko lahu rulāye

tū bhī taṛap taṛap kar puraqat kī rāt kāṭe
guzrā huā zamānā tujhko bhī yād āye

taṛpe terī muhabbat roye terī javānī
har āh terī lab par fariyād ban ke āye

ṭūṭe tere sahāre koī bhī ho na terā
merī tarah se tū bhī apne pe raham khāye