ye rākhī baṅdhan hai aisā, ye rākhī baṅdhan hai aisā
jaise chandā aur kiraṇ kā
jaise badrī aur pavan kā
jaise dhartī aur gagan kā
ye rākhī baṅdhan hai aisā
duniyā kī jitnī bahneṅ haiṅ un sabkī śhraddhā ismeṅ hai
hai dharam karam bhaiyā kā ye, bahnā kī rakṣhā ismeṅ hai
jaise subhadrā aur kṛṣhṇ kā, jaise badrī aur pavan kā
chhoṭī bahnā chūm ke māthā bhaiyā tujhe duā de
sāt janm kī umr merī tujhko bhagvān lagā de
amar pyār hai bhāī bahan kā, jaise badrī aur pavan kā
āj ख़uśhī ke din bhāī ke bhar bhar āye nainā
kadar bahan kī unse pūchho jinkī nahīṅ hai bahnā
mol nahīṅ koī is baṅdhan kā, jaise badrī aur pavan kā