sājan kī galiyāṇ chhoṛ chale
dil royā āṇsū beh nā sake
ye jīnā bhī koī jīnā hai
ham unko apnā keh nā sake
sājan kī galiyāṇ
jab unse bichhaṛ kar āne lage -2
ruk ruk ke chale chal chal ke ruke
lab kāṇpe āṇkheṅ bhar āyī
kuchh kehnā chāhā keh nā sake
sājan kī galiyāṇ chhoṛ chale
dil royā āṇsū beh nā sake
sājan kī galiyāṇ
unke liye unko chhoṛ diyā
khud apne dil ko toṛ diyā
ham unke dil meṅ rehte the
unke qadmoṅ meṅ reh nā sake
sājan kī galiyāṇ chhoḍ chale
dil royā āṇsū beh nā sake
sājan kī galiyāṇ
sājan haiṅ vahāṇ aur ham haiṅ yahāṇ
aise dil ko le jāyeṅ kahāṇ
jo pās bhī unke reh nā sake
aur dard-e-judāī seh nā sake
sājan kī galiyāṇ chhoṛ chale
dil royā āṇsū beh nā sake
sājan kī galiyāṇ