Bataao tum kaun ho khayaalon men jo chhaa gae

बताओ तुम कौन हो ख़यालों में जो छा गए
Work
Year
Language

ल: ( बताओ तुम कौन हो ख़यालों में जो छा गए
अभी तो मैने ठीक से तुम्हें न पहचाना ) -2
उ: तुम्हारा मैं ख़्वाब हूँ तुम्हारा अरमान हूँ
तुम्हारी धड़कन मैं ये तुमने न जाना

ल: कर लें भरोसा कैसे इस बात पे हम
होने दो रफ़्ता-रफ़्ता ये दूरियाँ कम
उ: करे फ़ैसला जो दिल समझो सही है
जो न लगे बेगाना अपना वही है
ल: नज़र से नज़र को तुम ये क्‌या समझा गए
अभी तो मैने ठीक से …
उ: तुम्हारा मैं ख़्वाब …

ल: तुम साथ चलते हो तो लगता है ऐसे
बहते समय की धारा थम गई हो जैसे
उ: मिले रोज़ ऐसी सज़ा दुआ हम करेंगे
तुमसे इसी बहाने गले हम मिलेंगे
ल: ये बाँहों का मुझे हार तुम गले में पहना गए
अभी तो मैने ठीक से …
उ: तुम्हारा मैं ख़्वाब हूँ
ल: आ आ आ
उ: तुम्हारा अरमान हूँ

la: ( batāo tum kaun ho khayāloṅ meṅ jo chhā gae
abhī to maine ṭhīk se tumheṅ na pahchānā ) -2
u: tumhārā maiṅ khvāb hūṇ tumhārā armān hūṇ
tumhārī dhaṛkan maiṅ ye tumne na jānā

la: kar leṅ bharosā kaise is bāt pe ham
hone do raftā-raftā ye dūriyāṇ kam
u: kare faislā jo dil samjho sahī hai
jo na lage begānā apnā vahī hai
la: nazar se nazar ko tum ye k‌yā samjhā gae
abhī to maine ṭhīk se …
u: tumhārā maiṅ khvāb …

la: tum sāth chalte ho to lagtā hai aise
bahte samay kī dhārā tham gaī ho jaise
u: mile roz aisī sazā duā ham kareṅge
tumse isī bahāne gale ham mileṅge
la: ye bāṇhoṅ kā mujhe hār tum gale meṅ pahnā gae
abhī to maine ṭhīk se …
u: tumhārā maiṅ khvāb hūṇ
la: ā ā ā
u: tumhārā armān hūṇ