Bastee-bastee parvat-parvat gaataa jaae banjaaraa

बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत गाता जाए बंजारा
Year
Language

बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत गाता जाए बंजारा
लेके दिल का इकतारा
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

पल दो पल का साथ हमारा पल दो पल की यारी
आज नहीं तो कल करनी है ( चलने की तैयारी ) -2
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

क़दम-क़दम पर होनी बैठी अपना जाल बिछाए
इस जीवन की राह में जाने ( कौन कहाँ रह जाए ) -2
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

धन-दौलत के पीछे क्‌यों है ये दुनिया दीवानी
यहाँ की दौलत यहाँ रहेगी ( साथ नहीं ये जानी ) -2
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

सोने-चाँदी में तुलता हो जहाँ दिलों का प्यार
आँसू भी बेकार वहाँ पर ( आहें भी बेकार ) -2
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

दुनिया के बाज़ार में आख़िर चाहत भी व्यापार बनी
तेरे दिल से उनके दिल तक ( चाँदी की दीवार बनी ) -2
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

हम जैसों के भाग में लिखा चाहत का वरदान नहीं
जिसने हमको जनम दिया वो ( पत्थर है भगवान नहीं) -2
बस्ती-बस्ती पर्वत-पर्वत …

bastī-bastī parvat-parvat gātā jāe baṅjārā
leke dil kā iktārā
bastī-bastī parvat-parvat …

pal do pal kā sāth hamārā pal do pal kī yārī
āj nahīṅ to kal karnī hai ( chalne kī taiyārī ) -2
bastī-bastī parvat-parvat …

qadam-qadam par honī baiṭhī apnā jāl bichhāe
is jīvan kī rāh meṅ jāne ( kaun kahāṇ rah jāe ) -2
bastī-bastī parvat-parvat …

dhan-daulat ke pīchhe k‌yoṅ hai ye duniyā dīvānī
yahāṇ kī daulat yahāṇ rahegī ( sāth nahīṅ ye jānī ) -2
bastī-bastī parvat-parvat …

sone-chāṇdī meṅ tultā ho jahāṇ diloṅ kā pyār
āṇsū bhī bekār vahāṇ par ( āheṅ bhī bekār ) -2
bastī-bastī parvat-parvat …

duniyā ke bāzār meṅ ākhir chāhat bhī vyāpār banī
tere dil se unke dil tak ( chāṇdī kī dīvār banī ) -2
bastī-bastī parvat-parvat …

ham jaisoṅ ke bhāg meṅ likhā chāhat kā vardān nahīṅ
jisne hamko janam diyā vo ( patthar hai bhagvān nahīṅ) -2
bastī-bastī parvat-parvat …