बस एक ही सुर में, एक ही लय में ( ग़ुल्ज़ार रेcइतल )
बस एक ही सुर में, एक ही लय में
सुबह से देख-देख कैसे बरस रहा
है उदास पानी
फुहार के मलमली दुपट्टे से
उड़ रहे हैं
तमाम मौसम टपक रहा है
पलक-पलक रिस रही है ये
कायनात सारी
हर एक शय भीग-भीग कर
कैसी बोझल सी हो गयी है
दिमाग की गीली-गीली सोचों से
भीगी-भीगी उदास यादें
टपक रही हैं
थके-थके से बदन में
बस धीरे-धीरे साँसों का
गरम दूबन्(?) चल रहा है
bas ek hī sur meṅ, ek hī lay meṅ
subah se dekh-dekh kaise baras rahā
hai udās pānī
phuhār ke malamlī dupaṭṭe se
uṛ rahe haiṅ
tamām mausam ṭapak rahā hai
palak-palak ris rahī hai ye
kāynāt sārī
har ek śhay bhīg-bhīg kar
kaisī bojhal sī ho gayī hai
dimāg kī gīlī-gīlī sochoṅ se
bhīgī-bhīgī udās yādeṅ
ṭapak rahī haiṅ
thake-thake se badan meṅ
bas dhīre-dhīre sāṇsoṅ kā
garam dūban(?) chal rahā hai