latā: apne pyār ke sapne sach hue
hoṅṭhoṅ pe gītoṅ ke phūl khil gae
sārī duniyāṇ chhoṛ ke man mīt mil gae
apne pyār ke …
kiśhor: apne pyār ke sapne sach hue
latā: pal bhar ko mile jo aṅkhiyāṇ
dekhūṇ maiṅ sunī haiṅ jo batiyāṇ
paṛh lūṇ maiṅ tore nainoṅ kī patiyāṇ
kiśhor: binā dekhe tum dekho merī āṇkhoṅ se
latā: apne pyār ke …
donoṅ: apne pyār ke …
kiśhor: kāṇṭoṅ se bharī thī jo galiyāṇ
un meṅ khilī haiṅ ab kaliyāṇ
jhūmo nācho manāo raṅgreliyāṇ
latā: chalo sajnā kaheṅ chalke sāre logoṅ se
kiśhor: apne pyār ke …
donoṅ: apne pyār ke …
latā: ab jab mile jīvan o sajnā
tum hī mujhe pahnāo kaṅgnā
kiśhor: terī ḍolī ruke mere aṅgnā
latā: merā ghuṅghṭā tum kholo apne hāthoṅ se
donoṅ: apne pyār ke sapne sach hue
hoṅṭhoṅ pe gītoṅ ke phūl khil gae
sārī duniyā chhoṛ ke man mīt mil gae
apne pyār ke …