Barsaat ke mausam men ... abee zindaa hoon to ... pee lene do

बरसात के मौसम में ... अबी ज़िन्दा हूँ तो ... पी लेने दो
Work
Year
Language

बरसात के मौसम में तन्हाई के आलम में -2
मैं घर से निकल आया बोतल भी उठा लाया
अबी ज़िन्दा हूँ तो ( जी लेने दो ) -2
भरी बरसात में पी लेने दो -2

( मुझे टुकड़ों में नहीं जीना है
क़तरा क़तरा तो नहीं पीना है ) -2
हो आज पैमाने हटा दो यारों
हाँ सारा मैख़ाना पिला दो यारों
मैकदों में तो पिया करता हूँ -2
चलती राहों में तो पी लेने दो
अबी ज़िन्दा हूँ तो …

( मेरे दुश्मन हैं ज़माने के ग़म
बाद पीने के ये होंगे कम ) -2
हो ज़ुल्म दुनिया के न सह पाऊँगा
बिन पिए आज न रह पाऊँगा
मुझे हालात से टकराना है -2
ऐसे हालात में पी लेने दो
अबी ज़िन्दा हूँ तो …

barsāt ke mausam meṅ tanhāī ke ālam meṅ -2
maiṅ ghar se nikal āyā botal bhī uṭhā lāyā
abī zindā hūṇ to ( jī lene do ) -2
bharī barsāt meṅ pī lene do -2

( mujhe ṭukaṛoṅ meṅ nahīṅ jīnā hai
qatrā qatrā to nahīṅ pīnā hai ) -2
ho āj paimāne haṭā do yāroṅ
hāṇ sārā maikhānā pilā do yāroṅ
maikdoṅ meṅ to piyā kartā hūṇ -2
chaltī rāhoṅ meṅ to pī lene do
abī zindā hūṇ to …

( mere duśhman haiṅ zamāne ke ġham
bād pīne ke ye hoṅge kam ) -2
ho zulm duniyā ke na sah pāūṇgā
bin pie āj na rah pāūṇgā
mujhe hālāt se ṭakrānā hai -2
aise hālāt meṅ pī lene do
abī zindā hūṇ to …