Banvaaree re (bhajan)

बनवारी रे (भजन)
Year
Language

बनवारी रे

जीने का सहारा तेरा नाम रे
मुझे दुनिया वालों से क्‌या काम रे

झूठी दुनिया झूठे बंधन, झूठी है ये माया
झूठा साँस का आना जाना, झूठी है ये काया
ओ, यहाँ साँचा तेरा नाम रे
बनवारी रे …

रंग में तेरे रंग गये गिरिधर, छोड़ दिया जग सारा
बन गये तेरे प्रेम के जोगी, ले के मन एकतारा
ओ, मुझे प्यारा तेरा धाम रे
बनवारी रे …

दर्शन तेरा जिस दिन पाऊँ, हर चिन्ता मिट जाये
जीवन मेरा इन चरणों में, आस की ज्योत जगाये
ओ, मेरी बाँहें पकड़ लो श्याम रे
बनवारी रे …

banvārī re

jīne kā sahārā terā nām re
mujhe duniyā vāloṅ se k‌yā kām re

jhūṭhī duniyā jhūṭhe baṅdhan, jhūṭhī hai ye māyā
jhūṭhā sāṇs kā ānā jānā, jhūṭhī hai ye kāyā
o, yahāṇ sāṇchā terā nām re
banvārī re …

raṅg meṅ tere raṅg gaye giridhar, chhoṛ diyā jag sārā
ban gaye tere prem ke jogī, le ke man ektārā
o, mujhe pyārā terā dhām re
banvārī re …

darśhan terā jis din pāūṇ, har chintā miṭ jāye
jīvan merā in charṇoṅ meṅ, ās kī jyot jagāye
o, merī bāṇheṅ pakaṛ lo śhyām re
banvārī re …