बंधन खुला पंछी उड़ा आगे सुनो अजी फिर क्या हुआ
फिर यूं हुआ छूटी जाल से प्यासी हिरनिया मिली ताल से
ऐसे धुला मेरा गोरा बदन चारों तरफ़ खिला फूलों का वन
ना जानूं क्या गाए जिया आगे सुनो अजी फिर क्या हुआ
बंधन खुला पंछी उड़ा …
छुप छुप के वो जो है देखता इन्सान नहीं वो है देवता
रहना गवाह तुम खिलती कली मुद्दत के बाद मैं खुल के हँसी
जैसे किसी ने छू लिया आगे सुनो अजी फिर क्या हुआ
बंधन खुला पंछी उड़ा …
baṅdhan khulā paṅchhī uṛā āge suno ajī phir kyā huā
phir yūṅ huā chhūṭī jāl se pyāsī hirniyā milī tāl se
aise dhulā merā gorā badan chāroṅ taraf khilā phūloṅ kā van
nā jānūṅ kyā gāe jiyā āge suno ajī phir kyā huā
baṅdhan khulā paṅchhī uṛā …
chhup chhup ke vo jo hai dekhtā insān nahīṅ vo hai devtā
rahnā gavāh tum khiltī kalī muddat ke bād maiṅ khul ke hṇsī
jaise kisī ne chhū liyā āge suno ajī phir kyā huā
baṅdhan khulā paṅchhī uṛā …