Band mutthee men ... toot ke daalee se ... ye to mehandee

बंद मुट्ठी में ... टूट के डाली से ... ये तो मेहंदी
Year
Language

आ बंद मुट्ठी में दिल को छुपाए बैठे हैं
है बहाना के मेहंदी लगाए बैठे हैं
मेहंदी हां हां मेहंदी हो
मेहंदी हां हां मेहंदी
टूट के डाली से हाथों पे बिखर जाती है मेहंदी
ये तो मेहंदी है मेहंदी तो रंग लाती है

लोग बागों से इसे तोड़ के लाते हैं
और पत्थर पे इसे शौक़ से पिसवाते हैं मेहंदी
फिर भी होंठों से इसके उफ़ तलक न आती है
ये तो मेहंदी है …

अपने रस रंग से इस दुनिया को सजाना है
काम मेहंदी का तो गैरों के काम आना है मेहंदी
अपनी खुश्बू से ये सहराओं को महकाती है
ये तो मेहंदी है …

ā baṅd muṭṭhī meṅ dil ko chhupāe baiṭhe haiṅ
hai bahānā ke mehaṅdī lagāe baiṭhe haiṅ
mehaṅdī hāṅ hāṅ mehaṅdī ho
mehaṅdī hāṅ hāṅ mehaṅdī
ṭūṭ ke ḍālī se hāthoṅ pe bikhar jātī hai mehaṅdī
ye to mehaṅdī hai mehaṅdī to raṅg lātī hai

log bāgoṅ se ise toṛ ke lāte haiṅ
aur patthar pe ise śhauq se pisvāte haiṅ mehaṅdī
phir bhī hoṅṭhoṅ se iske uf talak na ātī hai
ye to mehaṅdī hai …

apne ras raṅg se is duniyā ko sajānā hai
kām mehaṅdī kā to gairoṅ ke kām ānā hai mehaṅdī
apnī khuśhbū se ye sahrāoṅ ko mahkātī hai
ye to mehaṅdī hai …