dhīraj dhar manvā, dhīraj dhar
tere sukhke bhare din āyeṅge
taqdīr kā sūraj chamkegā
ġham ke bādal haṭ jāyeṅge
dhīraj dhar manvā, dhīraj dhar
kyoṅ ghūm rahe ho bhṇvre se
kyoṅ ghūm rahe ho bhṇvre se
ghabrāye hue bharmāye hue
terī patjhaṛ ke patte uṛāte
āṇchal meṅ basant chhupāye hue
in kāṇṭoṅ ko
in kāṇṭoṅ ko chun chun rakh le
kaliyoṅ ke chaman ban jāyeṅge
dhīraj dhar manvā, dhīraj dhar
sāġhar kī tarangeṅ ṭakrāke
ṭakrāke svayṅ hī ḍūbeṅgī
terī sach kī nāv ḍolegi bahut
ḍolegi magar na ḍūbegī
tūfānoṅ ke
tūfānoṅ ke jhoṅke hī terī
naiyyā ko kināre lagāyeṅge
dhīraj dhar manvā, dhīraj dhar
tere sukhke bhare din āyeṅge
taqdīr kā sūraj chamkegā
ġham ke bādal haṭ jāyeṅge
dhīraj dhar manvā, dhīraj dhar