Balmaa khulee havaa men

बलमा खुली हवा में
Year
Language

बलमा खुली हवा में महकी हुई फ़िज़ा में
दिल चाहता है मेरा बहकना इधर उधर

पग पग चलूँ बलखाती
खुद भी न जानूँ कहाँ
कहता है ये दिल मतवाला
आज अपना है सारा जहाँ
हो हो हो … बलमा खुली हवा में …

छुन छुन बोले मोरी पायल
आजा कहे साजना
आजा के ये सारे नज़ारे
सैंया फीके हैं तेरे बिना
हो हो हो … बलमा खुली हवा में …

balmā khulī havā meṅ mahkī huī fizā meṅ
dil chāhtā hai merā bahaknā idhar udhar

pag pag chalūṇ balkhātī
khud bhī na jānūṇ kahāṇ
kahtā hai ye dil matvālā
āj apnā hai sārā jahāṇ
ho ho ho … balmā khulī havā meṅ …

chhun chhun bole morī pāyal
ājā kahe sājnā
ājā ke ye sāre nazāre
saiṅyā phīke haiṅ tere binā
ho ho ho … balmā khulī havā meṅ …